दुआ.....
मैंने उस रात एक खुआब देखा था
तुम किसी हादसे में घायल हुए हो.
सुबह जब आँख खुली तो मैंने तुम्हे फ़ोन किया
पता चला तुम्हे सच में चोट आयी है.
Maine us raat ek khuaab dekha tha
Tum kisi haadse mein ghayal hue ho
Subah jab aankh khuli , to maine tumhe phone kiya
Pata chala tumhe sach main chot aayee hai.
ये सुन कर मेरा दिल तड़पने लगा
तुमसे मिलने , तुम्हे देखने का दिल, करने लगा
मैं तुमसे दूर हूँ .... बहुत दूर , आ नहीं सकती।
ये वो फ़ासला है जो तय, नहीं कर सकती।
Ye sun kar mera dil tadapne laga
Tumse milne , tumhe dekhne ka dil kerne laga,
Main tumse door hoon, bahut door,aa nahi sakti
Ye wo phasla hai jo tay nahi kar sakti
मगर सुना है कि दुआओं में बड़ी ताक़त है
इसलिए मैंने भी दिन- रात दुआएं मांगी है
मुन्तज़िर हूं कि जल्दी मुझे ख़बर ये मिले
करम मौला का हो , और तुम्हें दर्द से निजात मिले।
Magar suna hai ki duaao main badi taqat hai
Isliye maine bhi din raat duaein mangi hain
Muntazir hoon ki jaldi mujhe khabar ye mile
Karam maula ka ho aur, tumhe dard se nijaat mile.
अरशिया ज़ैदी(Arshia Zaidi)
-----------------------------------------------------------------------------------------------------
.jpg)
हर बार तू मिलता रहा
yoon ajnabi sa banke ,
har baar tu milta raha
एक रंज, और घुटन का , एहसास दिल करता रहा.
Ek ranj aur ghutan ka
aehsaas dil karta raha.
करती गयी नाम पलकें मेरी,
वो तल्ख़ीयां तेरी.....
karti gayein nam palkein meri
vo talkhiyaan teri
फिर भी न दिल से कर सके
चाहत कम तेरी
Phir bhi na dil se kar sake
chahat kam teri
रूखा तेरा अंदाज़
बयां करता रहा एक फासला
Rookha tera andaaz
bayaan kerta raha ek phasla
फिर भी न जाने कौन सा
देखा किये हम आसरा.
Phir bhi na jane khun sa
dekha kiya hum aasra
जज़्बात में उलझ कर
दिल का कहा जो माना.
Jazbaat mein ulajh kar
Dil ka kaha jo maana
ये जुर्म था हमारा
जो आज हम ने जाना .
Ye jurm tha hamara
Jo aaj hum ne jaana.
अरशिया ज़ैदी
------------------------------------------------------------
आज मेरा है तू ...(Aaj mera hai tu )
मुझे नाज़ है ख़ुद पर
आज मेरा है तू
मेरे आसमां का
झिल मिल सितारा है तू.
Mujhe naaz hai khud par
Aaj mera hai tu
Mere aasmaa ka
Jhil mil sitara hai tu
Mujhe naaz hai khud par
Aaj mera hai tu
Mere aasmaa ka
Jhil mil sitara hai tu
मेरे इन लबो की
मुस्कराहट है तू
तपती धूप में
घने पेड़ का साया है तू.
Mere in labo ki
Muskurahat hai tu
Tapti dhoop mein
Ghane ped ka saya hai tu .
Mere in labo ki
Muskurahat hai tu
Tapti dhoop mein
Ghane ped ka saya hai tu .
कल तुझको खो दूंगी
ये जानती हूँ मैं
बेबस सी तड़प कर
रह जाऊंगी मैं.
Kal tujhko kho doongi
ye jaanti hoon main
bebas si tadap kar
reh jaaungi main .
Kal tujhko kho doongi
ye jaanti hoon main
bebas si tadap kar
reh jaaungi main .
तुझसे न कभी फिर कुछ
कह पाऊंगी मैं
कैसे ये सज़ा ख़ुद को
दे पाऊंगी मैं.
Tujhse na khabi phir kuch
Keh paaongi main ,
Kaise ye saza khud ko
De paaongi main .
Tujhse na khabi phir kuch
Keh paaongi main ,
Kaise ye saza khud ko
De paaongi main .
.................................................................................................
हिन्दुस्तान की बेटी ( Hindustaan ki beti )
नक़ाब चहेरो से ए ज़ालिमो उठाऊंगी
दरिंदगी की कहानी भी मैं सुनाउंगी.
Naqaab chehro se ay zalimo uthaoongi
darindigi ki khahani bhi main sunaoongi.
मैं हिन्दुस्तान की बेटी हूँ, इसलिए सुन लो
मैं बुझती आखों से भी इंकलाब लाउंगी .
Main hindustaan ki beti hoon , isliye sun lo
Main bujhti aankho se bhi inqilaab laoongi.
तुम्हारी सोंच को लोगो बदल भी सकती हूँ
मैं इस समाज में गिर कर संभल भी सकती हूँ .
Tumhari soch ko logo badal bhi sakti hoon
Main is samaaj mein gir kar sabhal bhi sakti hoon
तुम्हें भी न्याय मिले इसलिए मेरी बहनों
मैं मर के देश की सूरत बदल भी सकती हूँ.
Tumhein bhi niyaye mile isliyein meri behno
Main mar ke desh ki surat badal bhi sakti hoon .
(Written by my father Mr. Hilal Ali Zaidi on Nirbhaya rape case)
अरशिया ज़ैदी (Arshia Zaidi)
-----------------------------------------------------------------------
पेशानी (Peshani )
आज सुबह जब मैंने अपनी पलकें खोली

और कहा चुपके से मेरे कानो में.
Aaj subah , jab maine apni palkein kholi
Usne jhaank ke dekha meri aakhon mein
Aur kaha chupke se mere kano mein .
क्यों चेहरे पे हैं इतने दर्द के साए
होटों की मुस्कान है जैसे खोयी सी
मैंने कहा..... ख़फा हूँ अपने माज़ी से.
Kyon chehre pe hain itne dard ke saye
Hothon ki muskaan hai jaise khoyee see
Maine kaha..... khapha hoon apne maazi se
उसने मुझे बाहों में अपनी भर लिया
और प्यार से पेशानी को चूम लिया
मैं हूँ ना .....माँ ने..... ख़ामोशी से कहा .
Usne mujhe bahoon mein apni bhar liya
Aur pyaar se peshani ko choom liya .
Main hoon na .... maa ne ... khamoshi se kaha .
अरशिया ज़ैदी (Arshia Zaidi)
..........................................................................................
लकीरें

देखा ये सोच कर मैंने
शायद खुशियों का हुजूम
कही, मेरे लियें छुपा हो
Aaj hath ki lakero ko
Dekha ye soch kar maine
Shayad khusiyo ka hojoom
kahin , mere liye chupa ho .
तन्हा सी जिंदिगी में
ठहरा सा हो कोई रिश्ता
अपना लगे जो मुझ को
हर ग़म में और ख़ुशी में
Tanha see zindigi mein
Tehra sa ho koi rishta
Apna lage jo mujh ko
Har gum mein aur khushi main .
एक अनजानी सी तलाश
बरसो से रही है मुझ को
शायद किसी सुबह
मेरे दरवाज़े पे खड़ी हो
Ak anjaani see talash
Barson se rahi hai mujhko
Shayad kisi subah
Mere darwaze pe khadi ho
अरशिया ज़ैदी (Arshia Zaidi)
--------------------------------------------------------------------------
अजब फ़साना ( Ajab Phasana )
रिश्ता बड़ा पुराना है,
न कोई समझ सका जिसे
ये वो अजब फ़साना है.
Dard ka har ek dil se
Rishta bada purana hai
Na koi samajh ska jise
Ye vo ajab phasana hai.
Dard ka har ek dil se
Rishta bada purana hai
Na koi samajh ska jise
Ye vo ajab phasana hai.
हर शख्स सिलवटो में
लिपटा सा नज़र आता है,
अपने दर्द की अलग
एक दांस्ता सुनाता है.
Har shakhs silwato mein
Lipta sa nazar aata hai ,
Apne dard ki alag
Ek daasta sunata hai.
Har shakhs silwato mein
Lipta sa nazar aata hai ,
Apne dard ki alag
Ek daasta sunata hai.
उलझी सी जिंदिगी को
सुलझाने की जुस्तुजू में,
हसरतो के जाल में
उलझता ही चला जाता है.
Uljhi see zindigi ko
Suljhane ki justojo main,
Hasrato ke jaal mein
Ulajhta hi chala jaata hai
Uljhi see zindigi ko
Suljhane ki justojo main,
Hasrato ke jaal mein
Ulajhta hi chala jaata hai
आँसू पलकों से निकलने को
बेचैन हुए जाते है
फिर भी खुश होने का अहसास
हम दुनिया को दिए जाते हैं .
Aansoo palko se nikalne ko
Bechain hue jaate hai ,
Phir bhi khush hone ka ahsaas
Hum duniya ko diye jaate hain .
Aansoo palko se nikalne ko
Bechain hue jaate hai ,
Phir bhi khush hone ka ahsaas
Hum duniya ko diye jaate hain .
अरशिया ज़ैदी ( Arshia Zaidi)
................
केक
केक कटेगा सब में बटेगा
तुमको मिलेगा हमको मिलेगा
जिसने केक को काटा होगा
कुछ उसके मूँह पर भी मलेगा
cake katega sab me batega
tumko milega hum ko milega
jisne cake ko kata hoga
kuch uske moohn par bhi malega
हम सब देख के ललचायेंगे
और केक पर झपट पड़ेंगे
जो ज़यादा केक गटक जायेगा
मज़े तो बस उसके आयेंगे
hum sab dekh ke lalchayenge
aur cake par jhapat padenge
jo zyada cake gatat jayega
maze to bas uske aayenge
अरशिया ज़ैदी
( written on my brother's (Ali) birthday 9th April 2012)
...............................................................................
चढ़ावा (Chadhawa)
मंदिर - मस्जिद बनवाने में खूब चढ़ावा देते हो
मन्नत पूरी कर दे मौला ,यही मांगते रहते हो।
Mandir - mashjid banwane mein khoob chadawa dete ho
Mannat poori kar de maula yahi maangte rehte ho .
Mandir - mashjid banwane mein khoob chadawa dete ho
Mannat poori kar de maula yahi maangte rehte ho .
ऊपर वाले ने क्यों तुमको, दिया है इतना, ये सोचो
इंसानियत का क़र्ज़ है तुम पर, जिसको तुम्हे चुकाना है.
Oopar wale ne kyon tumko , diya hai itna ye socho
Insaniyat ka karz hai tum par , jisko tumhe chukana hai.
Oopar wale ne kyon tumko , diya hai itna ye socho
Insaniyat ka karz hai tum par , jisko tumhe chukana hai.
बीमारों को राहत देने तुम्हें अस्पताल बनवाने हैं
स्कूलों को खोल के उसमें बच्चों को पढ़वाना है।
Beemaro ko rahat dene , tumhe aspataal banwane hain
Schoolo ko khol ke usme bachcho ko padhwana hai
Beemaro ko rahat dene , tumhe aspataal banwane hain
Schoolo ko khol ke usme bachcho ko padhwana hai
समाज से तुमको मिला बहुत कुछ, अब देने की बारी है,
सुनो ध्यान से , इस समाज ने फिर से तुम्हे पुकारा है।
Samaaj se tumko mila bahut kuch , ab dene ki baari hai
Suno dhayaan se , is samaaj ne phir se tumhe pukara hai.
Samaaj se tumko mila bahut kuch , ab dene ki baari hai
Suno dhayaan se , is samaaj ne phir se tumhe pukara hai.
हम सब के, कुछ- कुछ करने से, देश तरक्क़ी कर लेगा
लोग सुखी हो जायें देश के, ख़ुआब यही हमारा है।
Hum sab ke kuch - kuch karne se , desh taraqqi kar lega
Log sukhi ho jayein desh ke khuaab yahi hamara hai .
Hum sab ke kuch - kuch karne se , desh taraqqi kar lega
Log sukhi ho jayein desh ke khuaab yahi hamara hai .
अरशिया ज़ैदी (Arshia zaidi)
----------------------------------------------------------------------------------------------
मशाल ( Mashaal )
बदलते साल में पिछले बरस के देखे हुए
अधूरे खुआब हक़ीक़त में ढल भी सकते है.
अगर लगन हो,य़की और प्यार का जज़्बा
तुम्हारे सामने पत्थर पिघल भी सकते है.
Badalte saal mein pichle baras ke dekhe hue
Adoohre khuaab haqeeqat mein dhal bhi sakte hai
Agar lagan ho, yaqee aur pyaar ka jazba
Tumhare saamne patther pighal bhi sakte hain
मशाल इल्मो जुनूं की जला के हम सब लोग
कुरीतियों के फनो को कुचल भी सकते है.
गरीब बस्ती में फैले हुए अंधेरो को
चमकते इल्म के सूरज निगल भी सकते है.
Masaal ilmo junoo ki jala ke hum sab log
kuritiyon ke phano ko kuchal bhi sakte hain ,
gareeb basti mein phaile hue andhero ko
chamakte ilm ke suraj nigal bhi sakte hain
हमारे प्यार की झप्पी से ही फ़क़त ऐ दोस्त
सिसकते भूख से बच्चे बहल भी सकते है.
अगर हम मिलके कुछ कुर्बानियों का अहद कर ले
तो इस समाज की किस्मत बदल भी सकते है.
Hamare pyaar ki jhappi se hi faqat ay dost
Sisakte bhook se bacche bahel bhi sakte hain
Agar hum milke , kuch qurbaniyo ka ahaid kar lein
To is samaj ki qismat badal bhi sakte hain .
वो तपती रेत, अगर कर्बला की जहन में हो
दहकती आग पे इंसान चल भी सकते है.
छिपा है दर्द हर एक क़ेह्क्हे के दामन में
हर एक आँख से आंसू निकाल भी सकता है.
Vo tapti reit , agar karbala ki zahen mein ho
Dahekti aag pe insaan chal bhi sakte hain
Chipa hai dard har ek qeh qahe ke daman mein
Har ek aankh se aasoo niqal bhi sakte hain.
नाकामयाबी को जोड़ो न अपनी क़िस्मत से
सितारे चाल को अपनी बदल भी सकते है.
तू अपने हाथो की मेहनत पे ऐतबार तो कर
के तेरे हाथ की रेखा बदल भी सकती है.
Naqamiyo ko jodo na apni qismat se
sitare chaal ko apni badal bhi sakte hain
Tu apne hath ki mehnat pe aitbaar to kar
ke tere hath ki rekha badal bhi sakti hai.
Written by my father Mr. Hilal Ali Zaidi
अरशिया ज़ैदी (Arshia Zaidi)
--------------------------------------------------------------------------------------------मशाल ( Mashaal )
बदलते साल में पिछले बरस के देखे हुए
अधूरे खुआब हक़ीक़त में ढल भी सकते है.
अगर लगन हो,य़की और प्यार का जज़्बा
तुम्हारे सामने पत्थर पिघल भी सकते है.
Badalte saal mein pichle baras ke dekhe hue
Adoohre khuaab haqeeqat mein dhal bhi sakte hai
Agar lagan ho, yaqee aur pyaar ka jazba
Tumhare saamne patther pighal bhi sakte hain
मशाल इल्मो जुनूं की जला के हम सब लोग
कुरीतियों के फनो को कुचल भी सकते है.
गरीब बस्ती में फैले हुए अंधेरो को
चमकते इल्म के सूरज निगल भी सकते है.
Masaal ilmo junoo ki jala ke hum sab log
kuritiyon ke phano ko kuchal bhi sakte hain ,
gareeb basti mein phaile hue andhero ko
chamakte ilm ke suraj nigal bhi sakte hain
हमारे प्यार की झप्पी से ही फ़क़त ऐ दोस्त
सिसकते भूख से बच्चे बहल भी सकते है.
अगर हम मिलके कुछ कुर्बानियों का अहद कर ले
तो इस समाज की किस्मत बदल भी सकते है.
Hamare pyaar ki jhappi se hi faqat ay dost
Sisakte bhook se bacche bahel bhi sakte hain
Agar hum milke , kuch qurbaniyo ka ahaid kar lein
To is samaj ki qismat badal bhi sakte hain .
वो तपती रेत, अगर कर्बला की जहन में हो
दहकती आग पे इंसान चल भी सकते है.
छिपा है दर्द हर एक क़ेह्क्हे के दामन में
हर एक आँख से आंसू निकाल भी सकता है.
Vo tapti reit , agar karbala ki zahen mein ho
Dahekti aag pe insaan chal bhi sakte hain
Chipa hai dard har ek qeh qahe ke daman mein
Har ek aankh se aasoo niqal bhi sakte hain.
नाकामयाबी को जोड़ो न अपनी क़िस्मत से
सितारे चाल को अपनी बदल भी सकते है.
तू अपने हाथो की मेहनत पे ऐतबार तो कर
के तेरे हाथ की रेखा बदल भी सकती है.
Naqamiyo ko jodo na apni qismat se
sitare chaal ko apni badal bhi sakte hain
Tu apne hath ki mehnat pe aitbaar to kar
ke tere hath ki rekha badal bhi sakti hai.
Written by my father Mr. Hilal Ali Zaidi
अरशिया ज़ैदी (Arshia Zaidi)
ख़ुआब( khuaab)
बचपन से एक ख़ुआब देखा है मैंने
बनाऊ मुक़ाम और पहचान अपनी
बनू एक मज़बूत सहारा मैं ख़ुद का .
बचपन से एक ख़ुआब देखा है मैंने
बनाऊ मुक़ाम और पहचान अपनी
बनू एक मज़बूत सहारा मैं ख़ुद का .
रहे हौंसला फैसला करने का भी.
Bachpan se ek khuaab dekha hai maine
Banaou muqaam aur pehchaan apni
Banu ek majboot sahara main khud ka
Rahe Hausla faisla kerne ka bhi
न बेचारगी की निगाहें हों मुझ पर
खुद्दारी की दौलत रहे पास हर पल
Banaou muqaam aur pehchaan apni
Banu ek majboot sahara main khud ka
Rahe Hausla faisla kerne ka bhi
न बेचारगी की निगाहें हों मुझ पर
खुद्दारी की दौलत रहे पास हर पल
तमन्ना है मुझको खुले आसमा की
जहां मेरी परवाज़, हो बहुत ऊंची,
Na bechaargi ki nigahein ho mujh par
khuddari ki daulat rahe pas har pal
Tamanna hai mujh ko khule aasmaa ki
Jahaan mere parwaz ho bahut oochi.
khuddari ki daulat rahe pas har pal
Tamanna hai mujh ko khule aasmaa ki
Jahaan mere parwaz ho bahut oochi.
अरशिया ज़ैदी (Arshia Zaidi)
----------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------
इंसानी रिश्ते Insaani rishte
जिंदा रखते हैं, इंसान को इंसानी रिश्ते,
जिंदा रखते हैं, इंसान को इंसानी रिश्ते,
कितने नाज़ुक हैं मगर ,हाय ये इंसानी रिश्ते
zinda rakhte hain insaan ko insaani rishte
kitne nazuk hain magar haaye ye insaani rishte.
zinda rakhte hain insaan ko insaani rishte
kitne nazuk hain magar haaye ye insaani rishte.
समां कुछ ऐसा बंधा है, आज रिश्तों में ,
नहीं टिकता कोई रिश्ता, अब उम्र भर के लिए
Sama kuch aisa bandha hai aaj rishto main
Nahi tikta koi rishta, ab umr bhar ke liye.
Sama kuch aisa bandha hai aaj rishto main
Nahi tikta koi rishta, ab umr bhar ke liye.
फिज़ा कुछ ऐसी चली है, आज खुदगर्जी की
सभी है डूबे हुए, सोचने में, सिर्फ अपने लिए
Fiza kuch aisee chali hai aaj khudgarzi ki
Sabhi hain doobey hue sochne main apna liye
Fiza kuch aisee chali hai aaj khudgarzi ki
Sabhi hain doobey hue sochne main apna liye
तमाम उम्र किसी रिश्ते को निभाने के लिए
बहुत ज़रूरी है, ऐतबार दोनों के लिये.
Tamaam umr kisi rishtey ko nibhane ke liye
Bahut zaroori hai aitbaar dono ke liye .
Tamaam umr kisi rishtey ko nibhane ke liye
Bahut zaroori hai aitbaar dono ke liye .
वफ़ा की शर्त भी, लाजिम है दोस्ती के लिए
मगर ये बात पुरानी है,अब सभी के लिए
Wafa ki shart bhi , lazim hai dosti ke liye
Magar ye baat purani hai , ab sabhi ke liye
Wafa ki shart bhi , lazim hai dosti ke liye
Magar ye baat purani hai , ab sabhi ke liye
अरशिया ज़ैदी
Published in Hindi Magazine MUKTA(Delhi Press)2003
No comments:
Post a Comment